Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_32f2c30293099a979b8cefa49c6ddd27, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qayamat - Ahmad Nadeem Qasmi Poetry In English - Darsaal

Qayamat

chalo ek raat to guzri

chalo saffak zulmat ke badan ka ek TukDa to kaTa

aur waqt ki be-intihai ke samundar mein

koi tabut girne ki sada aai

ye mana raat aankhon mein kaTi

ek ek pal but sa ban kar jam gaya

ek sans to ek sadi ke baad phir se sans lene ka KHayal aaya

ye sab sach hai ki raat ek karb-e-be-payan thi

lekin karb hi taKHliq hai

ai pau phaTe ke dilruba lamho gawahi do

yunhi kaTti chali jaengi raaten

aur phir wo aaftab ubhrega

jo apni shuaon se abad ko raushni baKHshega

phir koi andheri dharti ko na chhu paega

danayan-e-mazhab ke mutabiq hashr aa jaega

lekin hashr bhi ek karb hai

har karb ek taKHliq hai

ai pau phaTe ke dilruba lamho gawahi do

(997) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qayamat In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Qayamat is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Qayamat for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Qayamat in PDF.