Qanun-e-qudrat
galiyon ki shamen bujh gain aur shahr suna ho gaya
bijli ka khamba tham kar banka sipahi so gaya
tarikiyon ki dewiyan karne lagin sargoshiyan
ek dhimi dhimi tan mein gane lagin KHamoshiyan
mashriq ke parbat se ware ubhrin ghaTaen yak-ba-yak
angDaiyan lene lagin be-KHud hawaen yak-ba-yak
tare nigalti badliyan chaaron taraf chhane lagin
chham-chham phuwaron ki jhaDi dharti pe barsane lagin
kutte achanak chaunk kar bhonken dubak kar so gae
be-ras chachoDi haDDiyon ki lazzaton mein kho gae
maen lapakti hain kahin bachche bilakte hain kahin
aur khaT lene ke liye buDhe uchakte hain kahin
ek sarsarahaT si uThi lahrai tham kar rah gai
har chiz ne aankhen malin har chiz jam kar rah gai
phir gungunati zulmaton ka sehr har-su chha gaya
baadal kahin gum hogae taron pe jauban aa gaya
qudarat ke sab chhoTe baDe qanun hain yaksan magar
parde paDe hain ja-ba-ja chhanti nahin jin se nazar
insan ka masum dil tarik suna shahr hai
jis ke tale ehsas ki chingariyon ki lahar hai
jab dekhta hai wo kahin badmast panghaT waliyan
galon ko jin ke chumti hain patli patli baaliyan
zulfen ghaTaon ki tarah aankhen sitaron ki tarah
chalna hawaon ki tarah rangat shararon ki tarah
lahnge ki lahron ke tale makkhan se panw raqs mein
pagDanDiyon ke us taraf gagar ki chhanw raqs mein
sine chhalakte mai-kade aur honT paimanon ke lab
TaKHnon pe bajti jhanjhnen hansna-hansana be-sabab
ye dekh kar angDaiyan leta hai dil insan ka
aur us ki har dhaDkan pe hota hai guman tufan ka
galiyon mein chhup jati hain jab ye chalti-phirti bijliyan
hota hai tari ruh par sunsan raaton ka saman
(925) Peoples Rate This