Patthar
ret se but na bana ai mere achchhe fankar
ek lamhe ko Thahar main tujhe patthar la dun
main tere samne ambar laga dun lekin
kaun se rang ka patthar tere kaam aaega
surKH patthar jise dil kahti hai be-dil duniya
ya wo pathrai hui aankh ka nila patthar
jis mein sadiyon ke tahayyur ke paDe hon Dore
kya tujhe ruh ke patthar ki zarurat hogi
jis pe haq baat bhi patthar ki tarah girti hai
ek wo patthar hai jo kahlata hai tahzib-e-safed
us ke marmar mein siyah KHun jhalak jata hai
ek insaf ka patthar bhi to hota hai magar
hath mein tesha-e-zar ho to wo hath aata hai
jitne meyar hain is daur ke sab patthar hain
jitni aqdar hain is daur ki sab patthar hain
sabza o gul bhi hawa aur faza bhi patthar
mera ilham tera zehn-e-rasa bhi patthar
is zamane mein to har fan ka nishan patthar hai
hath patthar hain tere meri zaban patthar hai
ret se but na bana ai mere achchhe fankar
(1258) Peoples Rate This