Pas-e-aina
mujhe jamal-e-badan ka hai e'tiraf magar
main kya karun ki wara-e-badan bhi dekhta hun
ye kaenat faqat ek ruKH nahin rakhti
chaman bhi dekhta hun aur ban bhi dekhta hun
meri nazar mein hain jab husn ke tamam andaz
main fan bhi dekhta hun fikr-o-fan bhi dekhta hun
nikal gaya hun fareb-e-nigah se aage
main aasman ko shikan-dar-shikan bhi dekhta hun
wo aadmi ki sabhi roe jin ki mayyat par
main us ko zer-e-kafan KHanda-zan bhi dekhta hun
main jaanta hun ki KHurshid hai jalal-maab
magar ghurub se KHud ko rihai deta nahin
main sochta hun ki chand ek jamal-para hai
magar wo ruKH jo kisi ko dikhai deta nahin
main sochta hun haqiqat ka ye tazad hai kya
KHuda jo deta hai sab kuchh KHudai deta nahin
wo log zauq se aari hain jo ye kahte hain
ki ashk TuTta hai aur sunai deta nahin
badan bhi aag hai aur ruh bhi jahannam hai
mera qusur ye hai mein duhai deta nahin
(880) Peoples Rate This