Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_52d6a6baba541b1a2c680ff65d1f195a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mahfil-e-shab - Ahmad Nadeem Qasmi Poetry In English - Darsaal

Mahfil-e-shab

kitni viran hai ye mahfil-e-shab

na sitare na charagh

ek ghani dhund hai gardun pe muhit

chand hai chand ka dagh

phailte jate hain manzar ke KHutut

bujhta jata hai dimagh

raste ghul gae tariki mein

toD kar zoam-e-safar

kaun had-e-nazar dekh sake

miT gai had-e-nazar

saikDon manzilen tai kar to chuke

lekin ab jaen kidhar

aasman hai na zamin hai shayad

kuchh nahin kuchh nahin

in KHalaon mein pukaren to kise

koi sunta hi nahin

ek duniya to hai ye bhi lekin

apni duniya si nahin

dosto aao qarib aa jao

aa ke dekho to sahi

ek halqe mein bujhi aankhon ko

la ke dekho to sahi

shayad aawaz pe aawaz aae!

de ke dekho to sahi

(929) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahfil-e-shab In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Mahfil-e-shab is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Mahfil-e-shab for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Mahfil-e-shab in PDF.