Larazte Sae
wo fasana jise tariki ne dohraya hai
meri aankhon ne suna
meri aankhon mein larazta hua qatra jaga
meri aankhon mein larazte hue qatre ne kisi jhil ki surat le li
jis ke KHamosh kinare pe khaDa koi jawan
dur jati hui doshiza ko
hasrat o yas ki taswir bane takta hai
hasrat o yas ki taswir chhanaka sa hawa
aur phir haal ke phaile hue parde ke har ek silwaT par
yak-ba-yak daman-e-mazi ke larazte hue sae nache
mazi o haal ke nate jage
(947) Peoples Rate This