Jangal Ki Aag
aag jangal mein lagi thi lekin
bastiyon mein bhi dhuan ja pahuncha
ek uDti hui chingari ka
saya phaila to kahan ja pahuncha
tang galiyon mein umaDte hue log
go bacha lae hain jaanen apni
apne sar par hain janaze apne
apne hathon mein zabanen apni
aag jab tak na bujhe jangal ki
bastiyon tak koi jata hi nahin
husn-e-ashjar ke matwalon ko
husn-e-insan nazar aata hi nahin
(1113) Peoples Rate This