Git
raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kaDiyan
kal jahan ruh jhulas jati thi
apne sae se bhi aanch aati thi
aaj usi dasht pe sawan ki lagi hain jhaDiyan
raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kaDiyan
shab ko jo wadiyan sunsan rahin
subh yun os se aarasta thin
har taraf motiyon ki jaise tani hui laDiyan
raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kaDiyan
toD kar panw na baiTho aao!
subh ke aur qarib aa jao!
yun to har haal mein kaTti hi rahengi ghaDiyan
raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kaDiyan
(879) Peoples Rate This