Dasht-e-wafa
dost kahte hain tere dasht-e-wafa mein kaise
itni KHushbu hai mahakta ho gulistan jaise
go baDi chiz hai ghamKHawari-e-arbab-e-wafa
kitne be-gana-e-ain-e-wafa hain ye log
zaKHm-dar-zaKHm mohabbat ke chaman-zar mein bhi
faqat ek ghuncha-e-mantiq ke gada hain ye log
main unhen gulshan-e-ehsas dikhaun kaise
jin ki parwaz-e-basirat par-e-bulbul tak hai
wo na dekhenge kabhi had-e-nazar se aage
aur meri hadd-e-nazar hadd-e-taKHayyul tak hai
dil ke bhedon ko bhi mantiq mein jo uljhate hain
yun samajh len ki babulon mein bhi phul aate hain
(1417) Peoples Rate This