Daranti
chamak rahe hain daranti ke tez dandane
KHamida hal ki ye alhaD jawan nur-e-nazar
sunahri fasl mein jis waqt ghota-zan hogi
to ek git chhiDega musalsal aur daraaz
'nadim' azal se hai taKHliq ka yahi andaz
sitare boe gae aaftab kaTe gae
hum aaftab zamir-e-jahan mein boen ge
to ek roz azim inqalab kaTenge
koi batae zamin ke ijara-daron ko
bula rahe hain jo guzri hui bahaaron ko
ki aaj bhi to usi shan-e-be-niyazi se
chamak rahe hain daranti ke tez dandane
sunahri fasl tak us ki chamak nahin mauquf
ki ab nizam-e-kohan bhi usi ki zad mein hai
KHamida hal ki ye alhaD jawan nur-e-nazar
jab is nizam mein lahra ke ghota-zan hogi
to ek git chhiDega musalsal aur daraaz
'nadim' azal se hai taKHliq ka yahi andaz
sitare boe gae aaftab kaTe gae
(894) Peoples Rate This