Yun To Pahne Hue Pairahan-e-Khaar Aata Hun
yun to pahne hue pairahan-e-KHar aata hun
ye bhi dekho ki ba-sauda-e-bahaar aata hun
arsh se jab nahin uThti meri fariyaad ki gunj
main tujhe dil ke KHarabe mein pukar aata hun
mujhe aata hi nahin bas mein kisi ke aana
aaun bhi to ba-kaf-e-abla-dar aata hun
tu yahan zer-e-ufuq chand ghaDi susta le
main zara din se nimaT kar shab-e-tar! aata hun
tujh se chhuT kar bhi teri surKHi-e-ariz ki qasam
chupke chupke tere dil mein kai bar aata hun
ye alag baat ki phulon pe ho zaKHmon ka guman
main to jab aata hun ham-rang-e-bahaar aata hun
dasht-e-har-fikr se main asr-e-rawan ka insan
ho ke KHud apni zehanat ka shikar aata hun
inhi do baaton mein kaT jati hai sab umr 'nadim'
ai gham-e-dahr na chheD ai gham-e-yar aata hun
(979) Peoples Rate This