Yun Be-kar Na BaiTho Din Bhar Yun Paiham Aansu Na Bahao
yun be-kar na baiTho din bhar yun paiham aansu na bahao
itna yaad karo ki bil-aKHir aasani se bhul bhi jao
sare raaz samjho lo lekin KHud kyun un ko lab par lao
dhoka dene wala ro de aisi shan se dhoka khao
zulmat se manus hain aankhen chand ubhra to mund jaengi
baalon ko uljha rahne do ek uljhaw sau suljhaw
kal ko kal par rakkho jab kal aaega dekha jaega
aaj ki raat bahut bhaari hai aaj ki raat yahin rah jao
kab tak yun parde mein husn mohabbat ko Thukraata
maut ka din bhi hashr ka din hai chhupne walo samne aao
(1376) Peoples Rate This