Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8d928c4d18c23e5ad8dba1a8e645c9de, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tu Jo Badla To Zamana Bhi Badal Jaega - Ahmad Nadeem Qasmi Poetry In English - Darsaal

Tu Jo Badla To Zamana Bhi Badal Jaega

tu jo badla to zamana bhi badal jaega

ghar jo sulga to bhara shahr bhi jal jaega

samne aa ki mera ishq hai mantiq mein asir

aag bhaDki to ye patthar bhi pighal jaega

dil ko main muntazir-e-abr-e-karam kyun rakkhun

phul hai qatra-e-shabnam se bahal jaega

mausam-e-gul agar is haal mein aaya bhi to kya

KHun-e-gul chehra-e-gulzar pe mal jaega

waqt ke panw ki zanjir hai raftar-e-'nadim'

hum jo Thahre to ufuq dur nikal jaega

(1158) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Jo Badla To Zamana Bhi Badal Jaega In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Tu Jo Badla To Zamana Bhi Badal Jaega is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Tu Jo Badla To Zamana Bhi Badal Jaega for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Tu Jo Badla To Zamana Bhi Badal Jaega in PDF.