Tu BigaDta Bhi Hai KHas Apne Hi Andaz Ke Sath
tu bigaDta bhi hai KHas apne hi andaz ke sath
phul khilte hain tere shoala-e-awaz ke sath
ek bar aur bhi kyun arz-e-tamanna na karun
ki tu inkar bhi karta hai ajab naz ke sath
lai jo TuTi to sada aai shikast-e-dil ki
rag-e-jaan ka koi rishta hai rag-e-saz ke sath
tu pukare to chamak uThti hain meri aankhen
teri surat bhi hai shamil teri aawaz ke sath
jab tak arzan hai zamane mein kabutar ka lahu
zulm hai rabt rakhun gar kisi shahbaz ke sath
past itni to na thi meri shikast ai yaro
par sameTe hain magar hasrat parwaz ke sath
pahre baiThe hain qafas par ki hai sayyaad ko wahm
par-shikaston ko bhi ek rabt hai parwaz ke sath
umr bhar sang-zani karte rahe ahl-e-watan
ye alag baat ki dafnaenge eazaz ke sath
(1322) Peoples Rate This