Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_02e26e76a5303fd32172969f3b7a97ed, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Teri Mahfil Bhi Mudawa Nahin Tanhai Ka - Ahmad Nadeem Qasmi Poetry In English - Darsaal

Teri Mahfil Bhi Mudawa Nahin Tanhai Ka

teri mahfil bhi mudawa nahin tanhai ka

kitna charcha tha teri anjuman-arai ka

dagh-e-dil naqsh hai ek lala-e-sahrai ka

ye asasa hai meri baadiya-paimai ka

jab bhi dekha hai tujhe aalam-e-nau dekha hai

marhala tai na hua teri shanasai ka

wo tere jism ki qausen hon ki mehrab-e-haram

har haqiqat mein mila KHam teri angDai ka

ufuq-e-zehn pe chamka tera paiman-e-visal

chand nikla hai mere aalam-e-tanhai ka

bhari duniya mein faqat mujh se nigahen na chura

ishq par bas na chalega teri danai ka

har nai bazm teri yaad ka mahaul bani

main ne ye rang bhi dekha teri yaktai ka

nala aata hai jo lab par to ghazal banta hai

mere fan par bhi hai partaw teri ranai ka

(2005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Mahfil Bhi Mudawa Nahin Tanhai Ka In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Teri Mahfil Bhi Mudawa Nahin Tanhai Ka is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Teri Mahfil Bhi Mudawa Nahin Tanhai Ka for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Teri Mahfil Bhi Mudawa Nahin Tanhai Ka in PDF.