Shuur Mein Kabhi Ehsas Mein Basaun Use
shuur mein kabhi ehsas mein basaun use
magar main chaar taraf be-hijab paun use
agarche fart-e-haya se nazar na aaun use
wo ruTh jae to sau tarah se manaun use
tawil hijr ka ye jabr hai ki sochta hun
jo dil mein basta hai ab hath bhi lagaun use
use bula ke mila umr bhar ka sannaTa
magar ye shauq ki ek bar phir bulaun use
andheri raat mein jab rasta nahin milta
main sochta hun kahan ja ke DhunD laun use
abhi tak us ka tasawwur to mere bas mein hai
wo dost hai to KHuda kis liye banaun use
'nadim' tark-e-mohabbat ko ek umr hui
main ab bhi soch raha hun ki bhul jaun use
(1033) Peoples Rate This