Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2ce907d2cf70cfa041807e5b6c823eb5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sans Lena Bhi Saza Lagta Hai - Ahmad Nadeem Qasmi Poetry In English - Darsaal

Sans Lena Bhi Saza Lagta Hai

sans lena bhi saza lagta hai

ab to marna bhi rawa lagta hai

koh-e-gham par se jo dekhun to mujhe

dasht aaghosh-e-fana lagta hai

sar-e-bazar hai yaron ki talash

jo guzarta hai KHafa lagta hai

mausam-e-gul mein sar-e-shaKH-e-gul

shoala bhaDke to baja lagta hai

muskuraata hai jo is aalam mein

ba-KHuda mujh ko KHuda lagta hai

itna manus hun sannaTe se

koi bole to bura lagta hai

un se mil kar bhi na kafur hua

dard ye sab se juda lagta hai

nutq ka sath nahin deta zehn

shukr karta hun gila lagta hai

is qadar tund hai raftar-e-hayat

waqt bhi rishta-bapa lagta hai

(1724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sans Lena Bhi Saza Lagta Hai In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Sans Lena Bhi Saza Lagta Hai is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Sans Lena Bhi Saza Lagta Hai for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Sans Lena Bhi Saza Lagta Hai in PDF.