Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f62c0e8371044032f9f17ecfbf483bf6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qalam Dil Mein Duboya Ja Raha Hai - Ahmad Nadeem Qasmi Poetry In English - Darsaal

Qalam Dil Mein Duboya Ja Raha Hai

qalam dil mein Duboya ja raha hai

naya manshur likkha ja raha hai

main kashti mein akela to nahin hun

mere hamrah dariya ja raha hai

salami ko jhuke jate hain ashjar

hawa ka ek jhonka ja raha hai

musafir hi musafir har taraf hain

magar har shaKHs tanha ja raha hai

main ek insan hun ya sara jahan hun

bagula hai ki sahra ja raha hai

'nadim' ab aamad aamad hai sahar ki

sitaron ko bujhaya ja raha hai

(1115) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qalam Dil Mein Duboya Ja Raha Hai In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Qalam Dil Mein Duboya Ja Raha Hai is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Qalam Dil Mein Duboya Ja Raha Hai for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Qalam Dil Mein Duboya Ja Raha Hai in PDF.