Phulon Se Lahu Kaise Tapakta Hua Dekhun
phulon se lahu kaise Tapakta hua dekhun
aankhon ko bujha lun ki haqiqat ko badal dun
haq baat kahunga magar ai jurat-e-izhaar
jo baat na kahni ho wahi baat na kah dun
har soch pe KHanjar sa guzar jata hai dil se
hairan hun ki sochun to kis andaz mein sochun
aankhen to dikhati hain faqat barf se paikar
jal jati hain poren jo kisi jism ko chhu lun
chehre hain ki marmar se tarashi hui lauhen
bazar mein ya shahr-e-KHamoshan mein khaDa hun
sannaTe uDa dete hain aawaz ke purze
baron ko agar dasht-e-musibat mein pukarun
milti nahin jab maut bhi mange se to yarab
ho izn to main apni salib aap uTha lun
(983) Peoples Rate This