Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3171d36ccfbd3e25f7ea32b35930afbe, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Bhayanak Tirgi Mein Aa Gae - Ahmad Nadeem Qasmi Poetry In English - Darsaal

Phir Bhayanak Tirgi Mein Aa Gae

phir bhayanak tirgi mein aa gae

hum gajar bajne se dhoka kha gae

hae KHwabon ki KHayaban-saziyan

aankh kya kholi chaman murjha gae

kaun the aaKHir jo manzil ke qarib

aaine ki chadaren phaila gae

kis tajalli ka diya hum ko fareb

kis dhundalke mein hamein pahuncha gae

un ka aana hashr se kuchh kam na tha

aur jab palTe qayamat Dha gae

ek paheli ka hamein de kar jawab

ek paheli ban ke har su chha gae

phir wahi aKHtar-shumari ka nizam

hum to is takrar se ukta gae

rahnumao raat abhi baqi sahi

aaj sayyare agar Takra gae

kya rasa nikli dua-e-ijtihad

wo chhupate hi rahe hum pa gae

bas wahi memar-e-farda hain 'nadim'

jin ko mere walwale ras aa gae

(1193) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Bhayanak Tirgi Mein Aa Gae In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Phir Bhayanak Tirgi Mein Aa Gae is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Phir Bhayanak Tirgi Mein Aa Gae for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Phir Bhayanak Tirgi Mein Aa Gae in PDF.