Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8e91033bf29ec6bf89831a233655a4d8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mudawa Habs Ka Hone Laga Aahista Aahista - Ahmad Nadeem Qasmi Poetry In English - Darsaal

Mudawa Habs Ka Hone Laga Aahista Aahista

mudawa habs ka hone laga aahista aahista

chali aati hai wo mauj-e-saba aahista aahista

zara waqfa se niklega magar niklega chand aaKHir

ki suraj bhi to maghrib mein chhupa aahista aahista

koi sunta to ek kohram barpa tha hawaon mein

shajar se ek patta jab gira aahista aahista

abhi se harf-e-ruKHsat kyun jab aadhi raat baqi hai

gul o shabnam to hote hain juda aahista aahista

mujhe manzur gar tark-e-ta'alluq hai raza teri

magar TuTega rishta dard ka aahista aahista

phir is ke baad shab hai jis ki had subh-e-abad tak hai

mughanni sham ka naghma suna aahista aahista

shab-e-furqat mein jab najm-e-sahar bhi Dub jate hain

utarta hai mere dil mein KHuda aahista aahista

main shahr-e-dil se nikla hun sab aawazon ko dafna kar

'nadim' ab kaun deta hai sada aahista aahista

(1133) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mudawa Habs Ka Hone Laga Aahista Aahista In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Mudawa Habs Ka Hone Laga Aahista Aahista is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Mudawa Habs Ka Hone Laga Aahista Aahista for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Mudawa Habs Ka Hone Laga Aahista Aahista in PDF.