Marun To Main Kisi Chehre Mein Rang Bhar Jaun
marun to main kisi chehre mein rang bhar jaun
'nadim' kash yahi ek kaam kar jaun
ye dasht-e-tark-e-mohabbat ye tere qurb ki pyas
jo izn ho to teri yaad se guzar jaun
mera wajud meri ruh ko pukarta hai
teri taraf bhi chalun to Thahar Thahar jaun
tere jamal ka partaw hai sab hasinon par
kahan kahan tujhe DhunDun kidhar kidhar jaun
main zinda tha ki tera intizar KHatm na ho
jo tu mila hai to ab sochta hun mar jaun
tere siwa koi shaista-wafa bhi to ho
main tere dar se jo uThun to kis ke ghar jaun
ye sochta hun ki main but-parast kyun na hua
tujhe qarib jo paun to KHud se Dar jaun
kisi chaman mein bas is KHauf se guzar na hua
kisi kali pe na bhule se panw dhar jaun
ye ji mein aati hai taKHliq-e-fan ke lamhon mein
ki KHun ban ke rag-e-sang mein utar jaun
(1026) Peoples Rate This