Main Wo Shaer Hun Jo Shahon Ka Sana-KHwan Na Hua
main wo shaer hun jo shahon ka sana-KHwan na hua
ye hai wo jurm jo mujh se kisi unwan na hua
is gunah par meri ek umr andhere mein kaTi
mujh se is maut ke mele mein charaghan na hua
kal jahan phul khile jashn hai zaKHmon ka wahan
dil wo gulshan hai ujaD kar bhi jo viran na hua
aankhen kuchh aur dikhati hain magar zehn kuchh aur
bagh mahke magar ehsas-e-bahaaran na hua
yun to har daur mein girte rahe insan ke nirKH
in ghulamon mein koi yusuf-e-kanan na hua
main KHud aasuda hun kam-kosh hun ya pathar hun
zaKHm kha ke bhi mujhe dard ka irfan na hua
sari duniya mutalatim nazar aati hai 'nadim'
mujh pe ek tanz hua rauzan-e-zindan na hua
(1013) Peoples Rate This