Main Kisi ShaKHs Se Bezar Nahin Ho Sakta
main kisi shaKHs se bezar nahin ho sakta
ek zarra bhi to be-kar nahin ho sakta
is qadar pyar hai insan ki KHataon se mujhe
ki farishta mera mear nahin ho sakta
ai KHuda phir ye jahannam ka tamasha kiya hai
tera shahkar to finnar nahin ho sakta
ai haqiqat ko faqat KHwab samajhne wale
tu kabhi sahab-e-asrar nahin ho sakta
tu ki ek mauja-e-nikhat se bhi chaunk uThta hai
hashr aata hai to bedar nahin ho sakta
sar-e-diwar ye kyun nirKH ki takrar hui
ghar ka aangan kabhi bazar nahin ho sakta
rakh si majlis-e-aqwam ki chuTki mein hai kya
kuchh bhi ho ye mera pindar nahin ho sakta
is haqiqat ko samajhne mein luTaya kya kuchh
mera dushman mera gham-KHwar nahin ho sakta
main ne bheja tujhe aiwan-e-hukumat mein magar
ab to barson tera didar nahin ho sakta
tirgi chahe sitaron ki sifarish lae
raat se mujh ko sarokar nahin ho sakta
wo jo sheron mein hai ek shai pas-e-alfaz 'nadim'
us ka alfaz mein izhaar nahin ho sakta
(2118) Peoples Rate This