Main Hun Ya Tu Hai KHud Apne Se Gurezan Jaise
main hun ya tu hai KHud apne se gurezan jaise
mare aage koi saya hai KHiraman jaise
tujh se pahle to bahaaron ka ye andaz na tha
phul yun khilte hain jalta ho gulistan jaise
yun teri yaad se hota hai ujala dil mein
chandni mein chamak uThta hai bayaban jaise
dil mein raushan hain abhi tak tere wadon ka charagh
TuTti raat ke tare hon farozan jaise
tujhe pane ki tamanna tujhe khone ka yaqin
tere gesu mere mahaul mein ghaltan jaise
waqt badla pa na badla mera mear-e-wafa
aandhiyon mein sar-e-kohsar charaghan jaise
ashk aankhon mein chamakte hain tabassum ban kar
aa gaya hath tera gosha-e-daman jaise
tujh se mil kar bhi tamanna hai ki tujh se milta
pyar ke baad bhi lab rahte hain larzan jaise
bhari duniya mein nazar aata hun tanha tanha
margh-zaron mein koi qarya-e-viran jaise
gham-e-jaanan gham-e-dauran ki taraf yun aaya
jaanib-e-shahr chale duKHtar-e-dahqan jaise
asr-e-hazir ko sunata hun is andaz mein sher
mausam-e-gul ho mazaron pe gul-afshan jaise
zaKHm bharta hai zamana magar is tarah 'nadim'
si raha ho koi phulon ke gareban jaise
(995) Peoples Rate This