Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dc907b345234c4f01b6437d4011e2afa, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KhaDa Tha Kab Se Zamin PiTh Par UThae Hue - Ahmad Nadeem Qasmi Poetry In English - Darsaal

KhaDa Tha Kab Se Zamin PiTh Par UThae Hue

khaDa tha kab se zamin piTh par uThae hue

aab aadmi hai qayamat se lau lagae hue

ye dasht se umaD aaya hai kis ka sail-e-junun

ki husn-e-shahr khaDa hai naqab uThae hue

ye bhed tere siwa ai KHuda kise malum

azab TuT paDe mujh pe kis ke lae hue

ye sail-e-ab na tha zalzala tha pani ka

bikhar bikhar gae qarye mere basae hue

ajab tazad mein kaTa hai zindagi ka safar

labon pe pyas thi baadal the sar pe chhae hue

sahar hui to koi apne ghar mein ruk na saka

kisi ko yaad na aae diye jalae hue

KHuda ki shan ki munkir hain aadamiyyat ke

KHud apni sukDi hui zat ke satae hue

jo aastin chaDhaen bhi muskuraen bhi

wo log hain mere barson ke aazmae hue

ye inqilab to tamir ke mizaj mein hai

girae jate hain aiwan bane-banae hue

ye aur baat mere bas mein thi na gunj is ki

mujhe to muddaten guzrin ye git gae hue

meri hi god mein kyun kaT ke gir paDe hain 'nadim'

abhi dua ke liye the jo hath uThae hue

(1210) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KhaDa Tha Kab Se Zamin PiTh Par UThae Hue In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. KhaDa Tha Kab Se Zamin PiTh Par UThae Hue is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem KhaDa Tha Kab Se Zamin PiTh Par UThae Hue for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download KhaDa Tha Kab Se Zamin PiTh Par UThae Hue in PDF.