Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9a20be7861df3df69abf36bacedd9004, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Bhi Aankhon Mein Teri RuKHsat Ka Manzar Aa Gaya - Ahmad Nadeem Qasmi Poetry In English - Darsaal

Jab Bhi Aankhon Mein Teri RuKHsat Ka Manzar Aa Gaya

jab bhi aankhon mein teri ruKHsat ka manzar aa gaya

aaftab-e-waqt neze ke barabar aa gaya

dosti ki jab duhai di to sharq-o-gharb se

hath mein patthar liye yaron ka lashkar aa gaya

is safar mein go tamazat to bahut thi hijr ki

main teri yaadon ki chhanw sar pe le kar aa gaya

go zamin-o-asman masruf-e-gardish hain magar

jab bhi gardish ka sabab socha to chakkar aa gaya

aadmi ko hashr ke manzar nazar aane lage

us ke qabze mein jab ek zarre ka jauhar aa gaya

husn-e-insan dafn ho jaane se miTta hai kahan

phul ban kar KHak ke parde se bahar aa gaya

ashk jab Tapke kisi bekas ki aankhon se 'nadim'

yun laga tufan ki zad mein samundar aa gaya

(1004) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Aankhon Mein Teri RuKHsat Ka Manzar Aa Gaya In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Jab Bhi Aankhon Mein Teri RuKHsat Ka Manzar Aa Gaya is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Jab Bhi Aankhon Mein Teri RuKHsat Ka Manzar Aa Gaya for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Jab Bhi Aankhon Mein Teri RuKHsat Ka Manzar Aa Gaya in PDF.