Hum Kabhi Ishq Ko Wahshat Nahin Banne Dete
hum kabhi ishq ko wahshat nahin banne dete
dil ki tahzib ko tohmat nahin banne dete
lab hi lab hai to kabhi aur kabhi chashm hi chashm
naqsh tere teri surat nahin banne dete
ye sitare jo chamakte hain pas-e-abr-e-siyah
tere gham ko meri aadat nahin banne dete
un ki jannat bhi koi dasht-e-bala hi hogi
zinda rahne ko jo lazzat nahin banne dete
dost jo dard baTate hain wo nadani mein
dar-haqiqat meri sirat nahin banne dete
fikr fan ke liye lazim magar achchhe shaer
apne fan ko kabhi hikmat nahin banne dete
wo mohabbat ka talluq ho ki nafrat ka 'nadim'
rabte zist ko KHalwat nahin banne dete
(1061) Peoples Rate This