Hum Din Ke Payami Hain Magar Kushta-e-shab Hain
hum din ke payami hain magar kushta-e-shab hain
is haal mein bhi raunaq-e-alam ka sabab hain
zahir mein hum insan hain miTTi ke khilaune
baatin mein magar tund anasir ka ghazab hain
hain halqa-e-zanjir ka hum KHanda-e-jawed
zindan mein basae hue ek shahr-e-tarab hain
chaTki hui ye husn-e-gurezan ki kali hai
ya shiddat-e-jazbaat se khulte hue lab hain
aaghosh mein mahkoge dikhai nahin doge
tum nikhat-e-gulzar ho hum parda-e-shab hain
(935) Peoples Rate This