Hota Nahin Zauq-e-zindagi Kam
hota nahin zauq-e-zindagi kam
buniyaad-e-hayat hai tera gham
ehsas-e-jamal ubhar raha hai
jab se tera iltifat hai kam
tere hi ghamon ne mujh ko baKHshi
kaunde ki lapak ghazal ka ram
saman-e-sabaat hain safar mein
ummid ki pech rah ke KHam
shamon ki lawen hain ya zabanen
aansu hain ki ehtijaj-e-paiham
anjum se khilaegi shagufe
shabnam se ladi hui shab-e-gham
tufan ka muntazir khaDa hai
ye ain sahar ko shab ka aalam
(849) Peoples Rate This