Dilon Se Aarzu-e-umr-e-jawedan Na Gai
dilon se aarzu-e-umr-e-jawedan na gai
koi nigah pas-e-gard-e-karwan na gai
wo aur chiz hai hote hain jis se dil shadab
teri bahaar se virani-e-KHizan na gai
nikal ke KHuld se bhi aadmi na pachhtaya
zamin pe bhi chaman-arai-e-guman na gai
bas ek kunj-e-qafas tak na aa saki warna
saba chali to chaman mein kahan kahan na gai
kahan kahan na huin sabt husn ki mohren
kali hawa mein bikhar kar bhi raegan na gai
meri dua ki ye ghairat hai kitni qabil-e-dad
ki lab tak aai magar su-e-asman na gai
dayar-e-ishq khanDar aur dasht-e-dil sunsan
magar 'nadim' ki rangini-e-bayan na gai
(956) Peoples Rate This