Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ef22f9982ba501ef5610d6a6576f33ee, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ajib Rang Tere Husn Ka Lagaw Mein Tha - Ahmad Nadeem Qasmi Poetry In English - Darsaal

Ajib Rang Tere Husn Ka Lagaw Mein Tha

ajib rang tere husn ka lagaw mein tha

gulab jaise kaDi dhup ke alaw mein tha

hai jis ki yaad meri fard-e-jurm ki surKHi

usi ka aks mere ek ek ghaw mein tha

yahan wahan se kinare mujhe bulate rahe

magar main waqt ka dariya tha aur bahaw mein tha

urus-e-gul ko saba jaise gudguda ke chali

kuchh aisa pyar ka aalam tere subhaw mein tha

main pur-sukun hun magar mera dil hi jaanta hai

jo intishaar mohabbat ke rakh-rakhaw mein tha

ghazal ke rup mein tahzib ga rahi thi 'nadim'

mera kamal mere fan ke is rachaw mein tha

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Rang Tere Husn Ka Lagaw Mein Tha In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Ajib Rang Tere Husn Ka Lagaw Mein Tha is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Ajib Rang Tere Husn Ka Lagaw Mein Tha for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Ajib Rang Tere Husn Ka Lagaw Mein Tha in PDF.