Ab To Shahron Se KHabar Aati Hai Diwanon Ki
ab to shahron se KHabar aati hai diwanon ki
koi pahchan hi baqi nahin viranon ki
apni poshak se hushyar ki KHuddam-e-qadim
dhajjiyan mangte hain apne garebanon ki
sanaten phailti jati hain magar is ke sath
sarhaden TuTti jati hain gulistanon ki
dil mein wo zaKHm khile hain ki chaman kya shai hai
ghar mein baraat si utri hui gul-danon ki
un ko kya fikr ki main par laga ya Duba
bahs karte rahe sahil pe jo tufanon ki
teri rahmat to musallam hai magar ye to bata
kaun bijli ko KHabar deta hai kashanon ki
maqbare bante hain zindon ke makanon se buland
kis qadar auj pe takrim hai insanon ki
ek ek yaad ke hathon pe charaghon bhare tasht
kaba-e-dil ki faza hai ki sanam-KHanon ki
(1324) Peoples Rate This