Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_edb402ee81bb008a884d1e0a438fce11, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zamin Se Ugti Hai Ya Aasman Se Aati Hai - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Zamin Se Ugti Hai Ya Aasman Se Aati Hai

zamin se ugti hai ya aasman se aati hai

ye be-irada udasi kahan se aati hai

ise nae dar-o-diwar bhi na rok sake

wo ek sada jo purane makan se aati hai

badan ki boss nasim-e-libas bu-e-nafas

koi mahak ho usi KHak-dan se aati hai

dilon ki barf pighalti nahin hai jis ke baghair

wo aanch ek gham-e-be-nishan se aati hai

suKHan-wari hai nazar se nazar ka naz-o-niyaz

aruz se na zaban-o-bayan se aati hai

(1220) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Se Ugti Hai Ya Aasman Se Aati Hai In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Zamin Se Ugti Hai Ya Aasman Se Aati Hai is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Zamin Se Ugti Hai Ya Aasman Se Aati Hai for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Zamin Se Ugti Hai Ya Aasman Se Aati Hai in PDF.