Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6d64721e9fa33d6faeaefc8245bda27b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Kaun KHwab Mein Chhu Kar Chala Gaya Mere Lab - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Ye Kaun KHwab Mein Chhu Kar Chala Gaya Mere Lab

ye kaun KHwab mein chhu kar chala gaya mere lab

pukarta hun to dete nahin sada mere lab

ye aur baat kisi ke labon talak na gae

magar qarib se guzre hain bar-ha mere lab

ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai

wo jis ke nam se hote na the juda mere lab

ab ek umar se guft-o-shunid bhi to nahin

hain be-nasib mere kan be-nawa mere lab

ye shaKHsana-e-wahm-o-guman tha shayad

kuja wo samra-e-bagh-e-talab kuja mere lab

(912) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaun KHwab Mein Chhu Kar Chala Gaya Mere Lab In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Ye Kaun KHwab Mein Chhu Kar Chala Gaya Mere Lab is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Ye Kaun KHwab Mein Chhu Kar Chala Gaya Mere Lab for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Ye Kaun KHwab Mein Chhu Kar Chala Gaya Mere Lab in PDF.