Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7ced77bcb3001137df70ac434a463378, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Kahna To Nahin Kafi Ki Bas Pyare Lage Hum Ko - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Ye Kahna To Nahin Kafi Ki Bas Pyare Lage Hum Ko

ye kahna to nahin kafi ki bas pyare lage hum ko

unhen kaise bataen hum ki wo kaise lage hum ko

makin the ya kisi khoi hui jannat ki taswiren

makan is shahr ke bhule hue sapne lage hum ko

hum un ko soch mein gum dekh kar wapas chale aae

wo apne dhyan mein baiThe hue achchhe lage hum ko

bahut shaffaf the jab tak ki masruf-e-tamanna the

magar is kar-e-duniya mein baDe dhabbe lage hum ko

jahan tanha hue dil mein bhanwar se paDne lagte hain

agarche muddaten guzrin kinare se lage hum ko

(1276) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kahna To Nahin Kafi Ki Bas Pyare Lage Hum Ko In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Ye Kahna To Nahin Kafi Ki Bas Pyare Lage Hum Ko is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Ye Kahna To Nahin Kafi Ki Bas Pyare Lage Hum Ko for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Ye Kahna To Nahin Kafi Ki Bas Pyare Lage Hum Ko in PDF.