Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_sh5omnoffo21k0otvut0moo6t5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Hum Ghazal Mein Jo Harf-o-bayan Banate Hain - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Ye Hum Ghazal Mein Jo Harf-o-bayan Banate Hain

ye hum ghazal mein jo harf-o-bayan banate hain

hawa-e-gham ke liye khiDkiyan banate hain

unhen bhi dekh kabhi ai nigar-e-sham-e-bahaar

jo ek rang se taswir-e-jaan banate hain

nigah-e-naz kuchh un ki bhi hai KHabar tujh ko

jo dhup mein hain magar badliyan banate hain

hamara kya hai jo hota hai ji udas bahut

to gul tarashte hain titliyan banate hain

kisi tarah nahin jati fasurdagi dil ki

to zard rang ka ek aasman banate hain

dil-e-sitam-zada kya hai lahu ki bund to hai

is ek bund ko hum be-karan banate hain

bala ki dhup thi din bhar to sae bunte the

andheri raat hai chingariyan banate hain

hunar ki baat jo puchho to muKHtasar ye hai

kashid karte hain aag aur dhuan banate hain

(2236) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Hum Ghazal Mein Jo Harf-o-bayan Banate Hain In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Ye Hum Ghazal Mein Jo Harf-o-bayan Banate Hain is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Ye Hum Ghazal Mein Jo Harf-o-bayan Banate Hain for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Ye Hum Ghazal Mein Jo Harf-o-bayan Banate Hain in PDF.