Tum Aae Ho Tumhein Bhi Aazma Kar Dekh Leta Hun
tum aae ho tumhein bhi aazma kar dekh leta hun
tumhaare sath bhi kuchh dur ja kar dekh leta hun
hawaen jin ki andhi khiDkiyon par sar paTakti hain
main un kamron mein phir shamen jala kar dekh leta hun
ajab kya is qarine se koi surat nikal aae
teri baaton ko KHwabon se mila kar dekh leta hun
sahar-dam kirchiyan TuTe hue KHwabon ki milti hain
to bistar jhaD kar chadar haTa kar dekh leta hun
bahut dil ko dukhata hai kabhi jab dard-e-mahjuri
teri yaadon ki jaanib muskura kar dekh leta hun
uDa kar rang kuchh honTon se kuchh aankhon se kuchh dil se
gae lamhon ko taswiren bana kar dekh leta hun
nahin ho tum bhi wo ab mujh se yaro kya chhupaoge
hawa ki samt ko miTTi uDa kar dekh leta hun
suna hai be-niyazi hi ilaj-e-na-umidi hai
ye nusKHa bhi koi din aazma kar dekh leta hun
mohabbat mar gai 'mushtaq' lekin tum na manoge
main ye afwah bhi tum ko suna kar dekh leta hun
(964) Peoples Rate This