Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_247516c723f1c28bdc8d80cec0d9fabd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tham Gaya Dard Ujala Hua Tanhai Mein - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Tham Gaya Dard Ujala Hua Tanhai Mein

tham gaya dard ujala hua tanhai mein

barq chamki hai kahin raat ki gahrai mein

bagh ka bagh lahu rang hua jata hai

waqt masruf hai kaisi chaman-arai mein

shahr viran hue bahr bayaban hue

KHak uDti hai dar o dasht ki pahnai mein

ek lamhe mein bikhar jata hai tana-bana

aur phir umr guzar jati hai yakjai mein

us tamashe mein nahin dekhne wala koi

is tamashe ko jo barpa hai tamashai mein

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tham Gaya Dard Ujala Hua Tanhai Mein In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Tham Gaya Dard Ujala Hua Tanhai Mein is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Tham Gaya Dard Ujala Hua Tanhai Mein for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Tham Gaya Dard Ujala Hua Tanhai Mein in PDF.