Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8c6d9ed69089cf416ca2fd5e3079ef32, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tha Mujhse Ham-kalam Magar Dekhne Mein Tha - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Tha Mujhse Ham-kalam Magar Dekhne Mein Tha

tha mujh se ham-kalam magar dekhne mein tha

jaane wo kis KHayal mein tha kis samay mein tha

kaise makan ujaD hua kis se puchhte

chulhe mein raushni thi na pani ghaDe mein tha

ta-subh barg-o-shaKH-o-shajar jhumte rahe

kal shab bala ka soz hawa ke gale mein tha

nindon mein phir raha hun use DhunDhta hua

shamil jo ek KHwab mere rat-jage mein tha

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Mujhse Ham-kalam Magar Dekhne Mein Tha In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Tha Mujhse Ham-kalam Magar Dekhne Mein Tha is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Tha Mujhse Ham-kalam Magar Dekhne Mein Tha for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Tha Mujhse Ham-kalam Magar Dekhne Mein Tha in PDF.