Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_vnetmb8lvvmdbmglnlemd7r792, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Musalsal Yaad Aati Hai Chamak Chashm-e-ghazalan Ki - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Musalsal Yaad Aati Hai Chamak Chashm-e-ghazalan Ki

musalsal yaad aati hai chamak chashm-e-ghazalan ki

akeli zat hai aur raat hai jangal bayaban ki

zara dekho hawa-e-subh kaise khinch lai hai

akeli pankhuDi mein dilkashi sare gulistan ki

inhin galiyon mein khulte the mulaqaton ke darwaze

inhin galiyon mein chalti hain hawaen sham-e-hijran ki

koi zarre ko zarra hi samajh kar chhoD deta hai

kisi ko sujhti hai is se tamir-e-bayaban ki

ye wo mausam hai jis mein koi patta bhi nahin hilta

dil-e-tanha uThata hai saubat sham-e-hijran ki

yahi kafi hai dil se muddaton ka bojh to utra

chalo is chashm-e-giryan ne koi mushkil to aasan ki

sitare dard ki aawaz se ghafil nahin rahte

dam-e-ahu se raushan mishalen reg-e-bayaban ki

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Musalsal Yaad Aati Hai Chamak Chashm-e-ghazalan Ki In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Musalsal Yaad Aati Hai Chamak Chashm-e-ghazalan Ki is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Musalsal Yaad Aati Hai Chamak Chashm-e-ghazalan Ki for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Musalsal Yaad Aati Hai Chamak Chashm-e-ghazalan Ki in PDF.