Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_216ce8126bad44848c701161314a7201, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mil Hi Jaega Kabhi Dil Ko Yaqin Rahta Hai - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Mil Hi Jaega Kabhi Dil Ko Yaqin Rahta Hai

mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai

wo isi shahr ki galiyon mein kahin rahta hai

jis ki sanson se mahakte the dar-o-baam tere

ai makan bol kahan ab wo makin rahta hai

ek zamana tha ki sab ek jagah rahte the

aur ab koi kahin koi kahin rahta hai

roz milne pe bhi lagta tha ki jug bit gae

ishq mein waqt ka ehsas nahin rahta hai

dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin

umr bhar kaun jawan kaun hasin rahta hai

(1432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mil Hi Jaega Kabhi Dil Ko Yaqin Rahta Hai In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Mil Hi Jaega Kabhi Dil Ko Yaqin Rahta Hai is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Mil Hi Jaega Kabhi Dil Ko Yaqin Rahta Hai for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Mil Hi Jaega Kabhi Dil Ko Yaqin Rahta Hai in PDF.