Manzar-e-subh Dikhane Use Laya Na Gaya
manzar-e-subh dikhane use laya na gaya
aati jati rahin shamen koi aaya na gaya
raat bistar pe khule chand mein sota tha koi
main ne chaha ki jagaun to jagaya na gaya
ek muddat use dekha use chaha lekin
wo kabhi pas se guzra to bulaya na gaya
ghere rahti thi use ek jahan ki nazren
phir jo dekha to wo us aan mein paya na gaya
sar uThate hi kaDi dhup ki yalghaar hui
do qadam bhi kisi diwar ka saya na gaya
tha muqarrar ki mulaqat rahegi us se
wo to pahuncha tha magar mujh se hi aaya na gaya
(946) Peoples Rate This