Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_73254902e1946c347d15663141f367f1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lubhata Hai Agarche Husn-e-dariya Dar Raha Hun Main - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Lubhata Hai Agarche Husn-e-dariya Dar Raha Hun Main

lubhata hai agarche husn-e-dariya Dar raha hun main

sabab ye hai ki ek muddat kinare par raha hun main

ye jhonke jin se dil mein tazgi aankhon mein ThanDak hai

inhi jhonkon se murjhaya hua shab bhar raha hun main

tere aane ka din hai tere raste mein bichhane ko

chamakti dhup mein sae ikaTThe kar raha hun main

koi kamra hai jis ke taq mein ek shama jalti hai

andheri raat hai aur sans lete Dar raha hun main

mujhe malum hai ahl-e-wafa par kya guzarti hai

samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar raha hun main

(944) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lubhata Hai Agarche Husn-e-dariya Dar Raha Hun Main In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Lubhata Hai Agarche Husn-e-dariya Dar Raha Hun Main is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Lubhata Hai Agarche Husn-e-dariya Dar Raha Hun Main for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Lubhata Hai Agarche Husn-e-dariya Dar Raha Hun Main in PDF.