Le Ke Ham-rah Chhalakte Hue Paimane Ko
le ke ham-rah chhalakte hue paimane ko
aan pahunchi hai ye saat bhi guzar jaane ko
han ise rah-guzar-e-KHanda-e-gul kahte hain
han yahi rah nikal jati hai virane ko
faeda bhi koi jal jal ke mare jaane se
kaun is shama se raushan kare parwane ko
sang uThana to baDi baat hai ab shahr ke log
aankh uTha kar bhi nahin dekhte diwane ko
kal bhi dekha tha unhen aaj bhi darshan honge
hasb-e-mamul wo niklenge hawa khane ko
(863) Peoples Rate This