Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f4641433a19065892f5b1c8af2961886, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Laghar Hain Jism Rang Hain Kale PaDe Hue - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Laghar Hain Jism Rang Hain Kale PaDe Hue

laghar hain jism rang hain kale paDe hue

baalon pe gard panw mein chhaale paDe hue

is marke mein ishq bechaara karega kya

KHud husn ko hain jaan ke lale paDe hue

ye jo bhi ho bahaar nahin hai janab-e-man

kis wahm mein hain dekhne wale paDe hue

is dahr ki kushada-dari par na jaiye

andar qadam qadam pe hain tale paDe hue

shishe ke ek gilas mein nargis ke phul hain

ek mez par hain chand risale paDe hue

(1501) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laghar Hain Jism Rang Hain Kale PaDe Hue In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Laghar Hain Jism Rang Hain Kale PaDe Hue is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Laghar Hain Jism Rang Hain Kale PaDe Hue for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Laghar Hain Jism Rang Hain Kale PaDe Hue in PDF.