Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c965ded6944085d9579a7a7fa74c82cd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kis Raqs-e-jaan-o-tan Mein Mera Dil Nahin Raha - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

Kis Raqs-e-jaan-o-tan Mein Mera Dil Nahin Raha

kis raqs-e-jaan-o-tan mein mera dil nahin raha

go main kisi julus mein shamil nahin raha

har chand teri ruh ka mahram raha hun main

lekin tere badan se bhi ghafil nahin raha

tujh se koi gila hai na teri wafa se hai

main hi tere KHayal ke qabil nahin raha

bahar chahak rahi ho ki andar mahak rahi

dil ab kisi bahaar ka qail nahin raha

yaro safina-e-gham-e-dil ka banega kya

lagta hai ab kahin koi sahil nahin raha

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Raqs-e-jaan-o-tan Mein Mera Dil Nahin Raha In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Kis Raqs-e-jaan-o-tan Mein Mera Dil Nahin Raha is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Kis Raqs-e-jaan-o-tan Mein Mera Dil Nahin Raha for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Kis Raqs-e-jaan-o-tan Mein Mera Dil Nahin Raha in PDF.