KHwab Ke Phulon Ki Tabiren Kahani Ho Gain
KHwab ke phulon ki tabiren kahani ho gain
KHun ThanDa paD gaya aankhen purani ho gain
jis ka chehra tha chamakte mausamon ki aarzu
us ki taswiren bhi auraq-e-KHizani ho gain
dil bhar aaya kaghaz-e-KHali ki surat dekh kar
jin ko likhna tha wo sab baaten zabani ho gain
jo muqaddar tha use to rokna bas mein na tha
un ka kya karte jo baaten na-gahani ho gain
rah gaya 'mushtaq' dil mein rang-e-yaad-e-raftagan
phul mahnge ho gae qabren purani ho gain
(1020) Peoples Rate This