Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a0d8389e1e1d40e50abc5c57ccf03abd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHair Auron Ne Bhi Chaha To Hai Tujh Sa Hona - Ahmad Mushtaq Poetry In English - Darsaal

KHair Auron Ne Bhi Chaha To Hai Tujh Sa Hona

KHair auron ne bhi chaha to hai tujh sa hona

ye alag baat ki mumkin nahin aisa hona

dekhta aur na Thaharta to koi baat bhi thi

jis ne dekha hi nahin us se KHafa kya hona

tujh se duri mein bhi KHush rahta hun pahle ki tarah

bas kisi waqt bura lagta hai tanha hona

yun meri yaad mein mahfuz hain tere KHad-o-KHal

jis tarah dil mein kisi shai ki tamanna hona

zindagi marka-e-ruh-o-badan hai 'mushtaq'

ishq ke sath zaruri hai hawas ka hona

(1983) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHair Auron Ne Bhi Chaha To Hai Tujh Sa Hona In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. KHair Auron Ne Bhi Chaha To Hai Tujh Sa Hona is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem KHair Auron Ne Bhi Chaha To Hai Tujh Sa Hona for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download KHair Auron Ne Bhi Chaha To Hai Tujh Sa Hona in PDF.