Kahun Kis Se Raat Ka Majra Nae Manzaron Pe Nigah Thi
kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi
na kisi ka daman-e-chaak tha na kisi ki tarf-e-kulah thi
kai chand the sar-e-asman ki chamak chamak ke palaT gae
na lahu mere hi jigar mein tha na tumhaari zulf siyah thi
dil-e-kam-alam pe wo kaifiyat ki Thahar sake na guzar sake
na hazar hi rahat-e-ruh tha na safar mein ramish rah thi
mere chaar-dang thi jalwagar wahi lazzat-e-talab-e-sahar
magar ek ummid-e-shikasta-par ki misal-e-dard siyah thi
wo jo raat mujh ko baDe adab se salam kar ke chala gaya
use kya KHabar mere dil mein bhi kabhi aarzu-e-gunah thi
(1006) Peoples Rate This